Kitne ‘Insaan’ Ho Gae ho Tum !

21 Oct


Har jagah farq dhoond lete ho
Kitne ‘Insaan’ ho gae ho tum

Ilm ka ho gaya hai tum ko junoon
Rozi – roti ki baat karte ho
Saare ehsaas mar gaye jaise
Shayad kutch ‘Khaas’ ho gae ho tum

Har ek gham ko dhaanp dete ho
Kitne ‘Insaan’ ho gae ho tum

Sunte rahte ho dil ki aawaazein
Ek magroor be-wafa ki tarah
Baat karte ho narm lahje mein
Aur bachcho ko daant dete ho

Khoob karte ho baatein ikhlaaqui
Kitne ‘Insaan’ ho gae ho tum

Khud ka ek naam rakh liya tumne
Phir bhi pehchaan dhoondte ho tum
Jhoot kahte ho jab ke tum khush ho
Dard hone ki bhi baat karte ho

Likhte rahte ho ghazlein insaani
Kitne ‘Insaan’ ho gae ho tum

-Shafiullah
14:45 , 21.10.2011, Lucknow

Ilm : Knowledge
ikhlaaqui: compassionate

5 Responses to “Kitne ‘Insaan’ Ho Gae ho Tum !”

  1. Raj Kamal Gilra October 22, 2011 at 12:05 am #

    Lazwaab !!!

    • sana October 22, 2011 at 1:57 am #

      good 1…..smthng out f d way u follow!!!!!

      • shafi October 22, 2011 at 2:29 am #

        thanks…i m honored.
        aise bhi u knw , i am self-obsessed !

  2. Surjeet October 22, 2011 at 3:09 am #

    Shafi..It is really good…
    but why are you using english script?

    • shafi October 22, 2011 at 3:22 am #

      thanks a lot !
      Many friends of mine cannot read hindi script well. And in our time of SMS and hinglish english script is well accepted. Also, its easier than transliterating with a software.

      partially to get a wider audience and partially due to my laziness. 🙂

Leave a comment