MAIN PARESHAN IS MULK MEIN HU

21 Sep

main pareshan is mulk mein hu
main to hairaan is mulk mein hu

lut gaya, jal gaya, kat gaya hu main
kya main insaan is mulk mein hu?

roz aati hain cheekh murdo ki
kya main shamshaan is mulk mein hu?

chod kar kya chala main jau kahin
kya main mehmaan is mulk mein hu?

jo bhi hai, main hi hu mulk ka milki
main hu pehchaan jo is mulk mein hu

yeh gali meri ,yeh mera ghar hai
main hi daalaan is mulk mein hu

main banaunga , jod kar khud se
main hi samaan is mulk mein hu

main to kafir hu jo kahin jau
main hu eemaan jo is mulk mein hu

iski izzat hai aabru meri 
main hi darbaan is mulk mein hu

sochta hu hazaar batein kabhi
main bhi ek nadaan is mulk mein hu

milki= owner
daalaan= courtyard adjacent to the entrance of a house

Leave a comment